Priye Deep ji,
aap yadi apne illaake mein tafteesh karein to payenge ki har ek sarkari school teacher ke apne bache sarkari school mein nahi padte.
inn teachers se bhi (group) b'na ke, ikkathe ho kar poochha jaye ki woh apne bachon ko sarkari schools mein kyo nahi bhejte.Yadi akeyle jayenge to samasya ho sakti hai.
Yadi wahan padai achhi nahi ho rahi to isska daayittva kisska hai,
DEO, BO aadi se bhi yeh prashn poochha jana chahiye,
Local MLA ko poocha jana chahiye,
unka jawab hoga "yeh loktantrik mamla hai ,hum kissi ko majboor nahi kar sakte'.
To bataya ja sakta hai ki 100 mein se 90 teachers ke bache pvt schools mein kyo ???
Yeh pratishat bahut zyada hai aur kuchh to darshata hi hai.
baki aur baad mein,
Shubkamna sahit,
Shubkamna sahit,
Dr.Ernest Albert.
1 comment:
Sawal to waqayi jawlant hai
Agar teacher nahi samjhte ki unke bachhe is school mein padhe means wo khud ki jimeedari se bhaag rahe hain
Halaki ye sirf sarkaari school ki porblem nahi hai almost har school mein jaha khud kaam kiya jata hai uski burayi kamzori pata hoti hai to insaan apne bachhe dusre school mein padhata hai
aankh dekhi makkhi nigli nahi jaati
uske alawa bhi ek karan hai kayi log
apne bachhe apne saath apne saaye mein nahi rakhna chahte
Post a Comment